Saturday, May 10, 2008

soachta hoon sub batain fazool likhh doon

soachta hoon sub batain fazool likhh doon
ussey apne dil ki main bhhool likhh doon

log dhhoke pe dhhoka na khaate rahain
kuchh mohabbat k shaid asool likhh doon

ab kisi ki bhi dil ko tamanna nahian
kabhi shaid nashey main qabool likhh doon

wo itna haseen nahain kehta hey dil
ussey uss ki nazroon ki dhhool likhh doon

yoon sitam NASIR na rawa rakhhain gay
jo kabhi apne dil k arz o toool likhh doon

0 comments: